Recents in Beach

Love shayari bheegi huyi aankhon ka yeh manjar na milega

Phool barse kahin sabnam kahi moti barse...
Aur is dil ki taraf barse toh pathar barse,
Barishein chhat par khuli jagah par hoti hai magar...
Gham woh sawan hai jo in band kamron mein barse,
Koun kehta hai ke rangon ke fariste utrein...
Koi bhi barse magar is bar toh ghar ghar barse,
Hum jaise mazbur ka gussa bhi ajib badal hai...
Apne hi dil se uthe apne hi dil pae barse.




---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=


---"~~"~~"*"~~"~~"----


Paro mein noor hai udan mein hararat hai
Lahu hawa mein kisi subah ki sahadat hai,


Kisi ka pyar mujhe na der tak rok saka
Mere badan mein hawa ki koi khayalat hai,


Fiza mein dhuni huyi ruyi ke jaire mile
Kahan kahan mere ehsas ki komlata hai,


Safed barf ke khargosh gud gudane lage
Latif sardiyo mein narm narm garmi hai.


Sannata chupke chupke kahta kya hai
Sari duniya kiska rain basera hai.




---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=


---"~~"~~"*"~~"~~"----



Aasman ke dono kono ke aakheer
Ek sitara tera hai ek sitara mera hai,


Anda machhli chhukar jisko paap lage
unka poora hath lahoo mein duba hai,


Ahista ahista dil par dastak do
Dhire dhire dil ka darwaja khula hai,


Sari raat lihafon mein royi aankhein
Sab kahte the rista nata jhutha hai.




---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=


---"~~"~~"*"~~"~~"----


Kabhi yun bhi aa meri aankh mein
Ki meri najar ko khabar na ho,


Mujhe ek raat navaj de
Magar uske baad subah na ho,


Woh bada raham o karam hai
Mujhe yeh asar bhi daan karein,


Tujhe bhulane ki dua karun
Toh meri dua mein asar na ho,


Mere baajuon mein thaki thaki
Abhi khwab dekh rahi hai chandani,


Na uthe sitaron ki palki
Abhi aahton ka gujar na ho.




---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=


---"~~"~~"*"~~"~~"----


Bheegi huyi aankhon ka yeh manjar na milega
Ghar chhod kar mat jaao kahin ghar na milega,


Fir yaad bahut aayegi jhulfon ki ghani shyam
Jab dhoop mein shaya koi sar par na milega,


Aansu ko kabhi os ka katra na samjhana
Aysa tumhe chahat ka samander na milega.





---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=


---"~~"~~"*"~~"~~"----


Ab kise chahein kise dhunda karein
Woh bhi aakhir mil gaya ab kya karein,


Halki halki baaris hoti rahe
Hum bhi phoolon ki tarah bhiga karein,


Aankhein munde is gulabi dhoop mein
Der tak baithe use socha karein,


Dil, mohabbat, deen duniya, shayari
Har dariche se tujhe dekha karein,


Ghar naya bartan naye kapde naye
En purane kagjon ka kya karein.




---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=


---"~~"~~"*"~~"~~"----


Koi hal na koi jawab hai
Yeh sawal kaisa sawal hai,


Jise bhul jaane ka hukam hai
Use bhul pana muhaal hai,


Huyi jard phulon ki bastiya
Magar usmein teri khata kahan.








---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=


---"~~"~~"*"~~"~~"----


Main khud bhi kab yeh kahta hu ki sabab nahi,
Tu sach hai mujhko chhod bhi de toh ajab nahi,
Vapas jo chaho jana toh ja sakte ho magar,
Ab etni dur aa gaye hum dekho ab nahi,
Dhan ka jaruraton ka jamane ka dosto,
Karte toh hum bhi hain magar itna adab nahi,
Mera pyar hai toh hamesha ke vaste,
Tera karam nahi hai ki ab hai aur ab nahi,
Duniya se kya shikaytein logon se kya gila,
Humko hi zindagi se nibhane ka dhang nahi.

Post a Comment

0 Comments