Kabhi alfaaz bhul jau kabhi khayal bhul jaau,
Tujhe es kadar chahu k apni saans bhul jaau,
Uth kar tere paas se jo main chal doon,
Toh jaate huye khud ko tere paas bhul jaau.
Unki khubsurati ki kya taarif karun eh yaaron,
Khuda bhi un jaisa koi aur na bana paya hoga,
Main toh pareshan hun yeh sochkar ki shayad,
Na zindagi mein aayega, na un jaisa koi aaya hoga.
Main chahta hi na
tha use lajawab karna,
Warna jawab mere
paas uss ke har sawal ka tha,
Uski jeet se hoti
thi khushi mujhko,
Yahi jawab mere
paas apni haar ka tha.
जो नजरो का हुआ मिलना लब तेरे भी मुस्कुराये थे,
ईश्क के हर जूर्म में मेरे तेरी मोहोब्बत के साये थे,
मेरी हर रात में सजनी तेरी सेजो के साये थे,
रात को ख्वाब में मेरे ख्वाब तेरे मिलने आये थे।
Jaise julfon ki
lat hai chehre ke karib tere,
Kaash hum bhi aaj
tere itne karib hote,
Tere phulon se
chehre ko hardam niharte hum,
Kaash aisi hoti
kismat aise naseeb hote.
Pal pal ke rishte
ka vaada hai aapse,
Apna pan kuch itna
zyada hai aapse,
Na sochna ke bhool
jayenge aapko,
Zindagi bhar
chahenge ye vaada hai aapse.
Faaslon se
intezaar badha karta hai,
Intezaar se pyaar
badha karta hai,
Saari zindagi
khuda se sajda karo,
Tab jake tumhare
jaisa yaar mila karta hai.
Hasrat hain sirf
tumhe paane ki,
Aur koyi khwahish
nahin is deewane ki,
Shikwa mujhe tum
se nahin khuda se hain,
Kya zarurat thi
tumhe itna khubsoorat banane ki.
0 Comments
Thanks you so much... please keep being like, comments and share with your friends