Koi jata hai yahan se
na koi aata hai...
yeh diya apne andhere mein ghut jata hai,
Sab samjhte hain wohi
raat ki kismat hoga...
Jo sitara ki bulandi par nazar aata hai,
Main isi khoj mein
badta hi chala jata hu...
kiska anchal hai jo parbaton par lahrata hai,
Meri aankhon mein ek
badal ka tukda shayad...
koi mousam ho sahr e sham baras jata hai,
De tasalli koi toh
aankh chhalak udhti hai...
koi samjhaye to dil aur bhi bhar jata hai.
---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=
---"~~"~~"*"~~"~~"----
Na
jaane yeh kaisa hai mola, dastur e mohabbat...
woh dur rahkar bhi dil ke karib rahta hai,
har koi janta hai milenge ismein jakham, fir
bhi...
har koi, yaar ka diya dard, hansh kar sahta hai.
---"~~"~~"*"~~"~~"----
=*=
---"~~"~~"*"~~"~~"----
Deedar khub barsenge
aangan mein sari raat...
main khwab ke sajar ki woh shakhe hilaunga,
Dhul jaayengi badan
mein jami dhool ki tahein...
apne lahu mein aaj main aisa nahaunga,
Ek pal ki zindagi
mujhe behad azij hai...
palkon mein jhil milaunga or toot jaaunga,
Yeh raat fir na aayegi
badal barsane de...
main janta hu subah tujhe bhool jaunga,
Mitti teri sada hu
main thabde sitaron ke...
khamosh hot chumate hi mar jaaunga.
---
0 Comments
Thanks you so much... please keep being like, comments and share with your friends